Category: Waakiye

  • “Iss Chehre Se Muskaan Naa Jaaye”

    Iss chehre se muskaan naa jaaye…!

    Jabh se paaya unhe,

    Jabh sunay woh meri har baat,

    Mere khyaal,

    Mere iss choti se dunya ko chaar chand jo lagaaye…

    Iss chehre se muskaan naa jaaye….!

    Anjaan thay,

    Thokar khaa kar tootay baithe thay,

    Dekhte thay ek doosre ko,

    Kose’tay thay apne aateet ko,

    Mar kar kaat rahe thay apna vartamaan,

    Naa thee ek aache kal kee ummeed,

    Jeen’ay ki aas jo bhula baithe,

    Naa jaane kitna kuch peeche chord aaye;

    Magar aaj,

    Iss chehre se muskaan naa jaaye….!

    Toot ke bikhar’ne par,

    Kisi ko apne paas naa paa kar,

    Dil ko apne aap behlaa-fuslaa kar,

    Naa jaane kitne pal karwaton main gawaa’ye,

    Uss kamre kee deewaro ko raaz maaloom,

    Aur,

    Uss takhiye ko jisme samaaye woh jo mere hisse aaye,

    Par aaj…

    Iss chehre se muskaan naa jaaye….!

    Intezaar,

    Iss dhoop kadak’tee main,

    Thand kee ek lehar banke aaye,

    Jabh bhee unki deed aaye mere aage,

    Chede aaj mujhe meri sakhi’an,

    Naam leke woh ko kareeb mere,

    Gaal surkh laal ho jaaye,

    Pasina aane lagay,

    Chede jabb mujhe meri sakhi’an,

    Subeh aur shaam yaad jabb aaye woh,

    Mujhse raha naa jaaye..

    Iss chehre se muskaan naa jaaye….!

    Aaj milna jo humne,

    Dekhu main apne aap ko,

    Kapde badal badal ke,

    Kisme khoobsurat lagti main,

    Maa baba dono pareshaan,

    Kaise aaj iss chehre par dukh nahi,

    nirasha ka aansh nahi,

    Kaise aaj iss chehre par ek muskaan…?

    Dill-lagi jo hisse aayi mere,

    Kaise iss chehre se muskaan jaaye,

    Ishq,

    jisko bhula baithi thee main,

    Badnaam kar gaya thaa zindagi meri;

    Par aaj,

    Shar-e-aam,

    Main mujh se kahu;

    Pyaar,

    Hisse aaya jo tere,

    Jiss’se samsaar dikhe ek naye rang se:

    Ek naye rang main paaya apne aap ko;

    Khoye jo mere raaz,

    Dil jo mera gaaye jaise ek raag,

    Uss naam,

    Woh jo mere kareeb,

    Uska saaz,

    Toh phir kyo naa ho,

    Iss chehre par ek muskaan…?

    Love Waakiye 🤍